Tuesday, June 21, 2011

Sunaa hai

This one from Faraz I liked the most. Read it from a guy's perspective to imagine how much one can love..... read it from her perspective to understand how special one can be for someone....


So many times I have read it....everytime it gives me the same pleasure :). It is also on u-tube by Faraz.
------------------------------------------

Sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar mein kuchh din Thehar ke dekhte hain


Sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haalon se
[rabt=closeness/relation]
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain


Sunaa hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us kii
So hum bhii us kii galii se guzar kar dekhte hain
[gaahak=customer]

Sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shaghaf
[shaghaf=passion]
so ham bhii maujzay apne hunar ke dekhte hain


Sunaa hai bole to baaton se phuul jharhte hain
Chalo ye baat hai to baat kar ke dekhte hain
Sunaa hai raat use chaand taktaa rehtaa hai
Sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte hain


Sunaa hai hashr hain us kii Ghazal sii aankhein
Sunaa hai us ko hiran gasht bhar ke dekhte hain
[rgasht=patrol/making rounds]


Sunaa hai din ko use titaliyaan sataatii hain
Sunaa hai raat ko jugnuu Theher ke dekhte hain


Sunaa hai raat se badh kar hain kaakulein us kii
[kaakulein =Jhulfe/hair]
Sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhte hain

Sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai
So us ko surmaa-farosh aankh bhar ke dekhte hain


Sunaa hai us ke labon se gulaab jalate hain
So ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hai.n


Sunaa hai aiinaa tamasaal hai jabeen us ki
Jo saadaa dil hain ussey ban sanwar ke dekhte hain


Sunaa hai ajab se hamaail hain us kii gardan mein
Mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhte hain
[hamaail=something to wear around the neck]


Sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan mein
palang zaaviye us kii kamar ke dekhte hain
[zaaviye=angles]


Sunaa hai us ke badan ki taraash aise hai
ke phuul apnii qabaayein katar ke dekhte hain
[qabaayein katar ke =going out of boundaries]


vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hain
[sarv-qad=tall and graceful; shaguufe=bud; samar=fruit]


Bas ek nigaah se lutataa hai qaafilaa dil kaa
So rah-ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhte hain
[rah_ravaan=travellers]


Sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
Makeen udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hain
[shabistan=bedroom; muttasil=near; makeen=tenant]


Rukay to gardishein us kaa tavaaf karti hain
chalay to us ko zamaane Thehar ke dekhte hain
[tavaaf = circling around something]

kise naseeb ke be-pairahan usse dekhe
kabhii kabhii dar-o-deewaar ghar ke dekhte hain
[be-pairahan=without clothes]


kahaaniyaan hi sahii sab mubaalaghe hii sahii
agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhte hain
[mubaalaghe=beyond one's limits; taabiir: Description or interpretation of dreams]


ab us ke shahar mein Thehrain kiay kooch ker jaayen
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhte hain

No comments:

Post a Comment

हा शब्दपट कसा वाटला, मला जरूर कळवा. आपल्या प्रतिक्रियाच मला लिहिते ठेवतील. या आपल्या प्रतिक्रियेबद्दल मनापासून आभार!